sitare so gae to aasman kaisa lagega jahan-e-tirgi mein ye jahan kaisa lagega bichhad ke sahilon se mauj-e-dil kaisi lagegi bikhar ke aandhiyon mein baadban kaisa lagega thahar jaengi jab ye kashtiyan kaisi lagengi guzar jaega jab aab-e-rawan kaisa lagega imarat dhah chuki hogi jo sansen tutne se to phir wo saya-e-diwar-e-jaan kaisa lagega utar jaega rang-e-ashiqi jab is ke khun se to dil begana-e-sud-o-ziyan kaisa lagega qafas kaisa lagega ud gae jab gate panchhi na hoga jab koi shor o fughan kaisa lagega bikhar jaengi zanjiren sabhi zindaniyon ki zawal-e-nakhwat-e-na-mehrban kaisa lagega bahut ranginiyan hongi agarche rah mein lekin musafir kho gaya to karwan kaisa lagega jahan tum se bahut pahle pahunch jaenge hum log na jaane aakhiri wo khak-dan kaisa lagega