sitaron ka jahan hai aur main hun

By tajuddin-tajMay 28, 2021
sitaron ka jahan hai aur main hun
khayal-e-asman hai aur main hun
na jaane kis taraf le jae kashti
shikasta baadban hai aur main hun


mera afsana sun kar kya karoge
ghamon ki dastan hai aur main hun
rihaish masala ban kar khadi hai
shikasta sa makan hai aur main hun


qafas ki tiliyan kahti hain mujh se
bahaar-e-gulistan hai aur main hun
abhi mahrumiyon ke silsile hain
nigah-e-be-zaban hai aur main hun


wo mahfil mein hain mere ru-ba-ru 'taj'
nazar ka imtihan hai aur main hun
35342 viewsghazalEnglish