siyah-khana-e-dil par nazar bhi karta hai meri khataon ko wo darguzar bhi karta hai parind unchi udanon ki dhun mein rahta hai magar zamin ki hadon mein basar bhi karta hai tamam umr ke dariya ko mod deta hai wo ek harf jo dil par asar bhi karta hai wo log jin ki zamana hansi udata hai ek umr baad unhen mo'tabar bhi karta hai jala ke dasht-e-talab mein ummid ki shamen aziyyaton se hamein be-khabar bhi karta hai