siyahi mein naha kar surKH-ru hain

By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
siyahi mein naha kar surkh-ru hain
maze mein hain jo ahl-e-hao-hu hain
na dekha khwab bhi ek khwab jaisa
gharaz majburiyon mein ba-wuzu hain


nahin tafsil ka qail nahin main
yahi ash'ar sharh-e-arzu hain
nahin main aaj apne aap mein bhi
wo aaine mein kis se ru-baru hain


zamin walo zara hushiyar rahna
sabhi qabil mahw-e-guftugu hain
ye main hun aur ye meri kitaben
bhari duniya mein do hi faltu hain


60603 viewsghazalEnglish