siyahi mein to saya Dubta hai

By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
siyahi mein to saya dubta hai
kaha kis ne sitara dubta hai
zamane se alag ek chand dekha
khayalon mein ubharta dubta hai


ye kah kar khud ko samjhata raha hun
ki suraj bhi to tanha dubta hai
ye sare phul dariya mein gira do
nahin to ab shikara dubta hai


chala aata hai minaron pe pani
ababilo basera dubta hai
23583 viewsghazalEnglish