siyasat jab zarurat ho naya rishta banati hai koi kitna mukhalif ho use apna banati hai shanasa khauf ki taswir hai us ki bayazon mein meri beti hasin pinjre mein ek chidiya banati hai takhayyul harf mein dhal kar ubhar aata hai kaghaz par sarapa sochta hun main ghazal chehra banati hai kisi par mehrban hoti hai jab bhi daulat-e-duniya use sahab use qibla use kya kya banati hai haqiqi shairi dad-e-sukhan se bhi hui mahrum bila sar-pair wali shairi paisa banati hai gawara kab hai mamta ko mera yun dhup mein chalna meri man odhni phaila ke ek chhata banati hai ye achchhai mein bhi 'sabir' burai dhund leti hai ye duniya hai alif par bhi kabhi shosha banati hai