so chuki hai jo raaz rahne do tum jataoge pyar rahne do ye nadamat to ek dikhawa hai aap aur sharmsar rahne do jaan basti hai aap ki mujh mein jhut itna to yar rahne do tum ko phulon pe nind aati hai tum sajaoge dar rahne do kya meri jaan le ke manoge kuchh to jaan pe udhaar rahne do tum ne hasil to kar liya mujh ko tum ko mera khumar rahne do kya kaha aap ne zara kahna 'nur' ka intizar rahne do