so lene do apna apna kaam karo chup ho jao darwazo kuchh waqt guzaro diwaro chup ho jao kis kashti ki umr hai kitni mallahon se puchhne do tum se bhi puchhenge ek din dariyao chup ho jao dekh liya na aakhir mitti mitti mein mil jati hai khamoshi se apna apna hissa lo chup ho jao is viran-sara ki malik ek purani khamoshi aawazen deti rahti hai mehmano! chup ho jao aisa lagta hai hum apni manzil par aa pahunche hain dur kahin ye rone ki aawaz suno chup ho jao khud ko sabit karne se bhi badh jati hai tanhai kaun si girhen khol rahe ho sehr-garo chup ho jao ped purana ho jata hai nae parinde aane se baat adhuri hi rahti hai kuchh bhi kaho chup ho jao