soch-samajh kar soch-samajh kar kaam karo
By sayyed-riyaz-raheemOctober 26, 2023
soch-samajh kar soch-samajh kar kaam karo
badal na jae jab tak manzar kaam karo
mutthi-bhar logon ne nafrat boi thi
ug aae hain khet mein khanjar kaam karo
waqt kada hai jaan ki bazi hai darkar
dhad par jab tak baqi hai sar kaam karo
ek taraf mazlum bhi hain majbur bhi hain
ek taraf hain sare sitamgar kaam karo
waqt ne phir ek shish-mahal ta'mir kiya
dhund ke lao kaam ke patthar kaam karo
wahshi darinde chikh rahe hain galiyon mein
sahme hue hain sare kabutar kaam karo
phir nadiya mahrum hui hai lahron se
jam' karo kuchh kankar patthar kaam karo
kal se bad-tar haal hua hai duniya ka
kal se zyaada kal se behtar kaam karo
badal na jae jab tak manzar kaam karo
mutthi-bhar logon ne nafrat boi thi
ug aae hain khet mein khanjar kaam karo
waqt kada hai jaan ki bazi hai darkar
dhad par jab tak baqi hai sar kaam karo
ek taraf mazlum bhi hain majbur bhi hain
ek taraf hain sare sitamgar kaam karo
waqt ne phir ek shish-mahal ta'mir kiya
dhund ke lao kaam ke patthar kaam karo
wahshi darinde chikh rahe hain galiyon mein
sahme hue hain sare kabutar kaam karo
phir nadiya mahrum hui hai lahron se
jam' karo kuchh kankar patthar kaam karo
kal se bad-tar haal hua hai duniya ka
kal se zyaada kal se behtar kaam karo
99413 viewsghazal • English