socha kabhi nahin tha ki aisa karenge KHwab
By ahmad-kamal-hashmiMay 24, 2024
socha kabhi nahin tha ki aisa karenge khwab
aankhon se meri nind ka sauda karenge khwab
hai tutna nasib to tuta karenge khwab
hum to har ek haal mein dekha karenge khwab
dekho zarur khwahish-e-ta’bir mat karo
halkan tum ko aur ziyaada karenge khwab
dil ko bahut 'aziz hai ye karobar-e-shauq
hum to hamesha becha kharida karenge khwab
ye soch kar hi main ne lagae hain ye darakht
phal den na den pa dhup mein saya karenge khwab
jin ko hai khwab dekhne ki lat lagi hui
aankhen khuli bhi hon to wo dekha karenge khwab
aankhon mein khamushi se basaya to tha magar
socha na tha ki shor machaya karenge khwab
aaegi gahri nind 'kamal' aap ko tabhi
jab aap apni aankhon se minha karenge khwab

64323 viewsghazal • English