socha tha tere gham ko nibhaenge kahan tak

By shehzad-anjum-burhaniJanuary 5, 2024
socha tha tere gham ko nibhaenge kahan tak
lekin ye ta'alluq to chala aaya hai jaan tak
lab khushk the ehsan na dariya ka uthaya
jaane ko kai bar gae aab-e-rawan tak


yaad aati nahin thik se surat bhi tumhaari
afsos badal jate hain haalat yahan tak
chehre ki bashashat ne sabhi dard chhupae
is aag se uthta bhi nahin koi dhuan tak


ab ghar mein hi rahte hain meri jaan ke dushman
is daur mein mahfuz nahin ja-e-aman tak
75791 viewsghazalEnglish