sochon ke ban-bas mein aakhir kuchh to sujh hi jaega ye raston ka pech-o-kham khud manzil bhi dikhlaega mumkin hai ki tujh ko ab tak khak nazar na aata ho waqt bala ka shatir hai wo chaalen chalta jaega aankhen ro ro chamka li hain ujle manzar takne ko suraj par jo gard padi hai us ko kaun hataega sare achchhe mausam us ki khwahish mein hi bit gae kya wo ab in zard ruton mein mujh se milne aaega sukhe patte odh ke apne tan pe aankhen band kiye soch raha hun koi aa kar dipak rag sunaega teri meri aql ke nate aaj bhi hain 'sajjad' juda jo main baat samajh nahin paya tu kaise batlaega