sochta hai kis liye tu mere yar de mujhe thak chuka hun nafraton se thoda pyar de mujhe kaun hun mujhe to apna nam bhi pata nahin koi mera nam le ke phir pukar de mujhe in khirad ki hila-saziyon se tu aman de daftar-e-junun mein koi karobar de mujhe aaj apne hi muqable pe dat gaya hun main tegh koi bhej koi rahwar de mujhe is ana ki jang mein tu fath-yab kar mujhe ye sharaf bhi aaj mere shahsawar de mujhe kuchh khabar to de mere musafiron ki a saba kuchh nishan-e-kucha-ha-e-be-dayar de mujhe tut kar bikharta ja raha hun is tarah se main kash koi hath badh ke phir sanwar de mujhe 'shahid'-e-nawa-e-asr ke sukhan ki qadr kar lahja-e-sukut harf-e-e'tibar de mujhe