sochta hun ki mujhe tujhse mohabbat kyon hai

By shakeel-azmiFebruary 29, 2024
sochta hun ki mujhe tujh se mohabbat kyon hai
tu nahin hai to mujhe teri zarurat kyon hai
jaante hain ki wafadar nahin hai duniya
phir bhi hum ko isi duniya se mohabbat kyon hai


koi din aisa bhi ho maut na aae hum ko
har nae din ke muqaddar mein qayamat kyon hai
band aankhon mein ujale khuli aankhon mein dhuan
itni ulti mere khwabon ki haqiqat kyon hai


ashk jab bhar ke chhalakta hai to milta hai sukun
jo rulata hai usi dard mein rahat kyon hai
koi manzil na koi khwab na maqsad koi
yunhi jina hai to jine ki zarurat kyon hai


kabhi marne ka irada kabhi jine ki du'a
zindagi se kabhi nafrat kabhi chahat kyon hai
gard jamti hai na patthar koi lagta hai 'shakil'
dil hai aaina to phir itna salamat kyon hai


37587 viewsghazalEnglish