sochta hun koi kitab likhun
By ahmed-arsalanJanuary 1, 2024
sochta hun koi kitab likhun
jis mein sare adhure khwab likhun
kaise tedhe sawal puchhe hain
koi batlae kya jawab likhun
ye jo kante hain meri rahon mein
tum kaho to inhen gulab likhun
itna tujh ko to padh liya main ne
tai kiya main ne is pe bab likhun
kis qadar intishaar hai tujh mein
kyon na ab tujh ko iztirab likhun
kis ko kis ko kiya nahin hai yaad
kis ka kis ka bhala hisab likhun
'ilm se jis ka wasta hi nahin
kaise us ko bhala janab likhun
itna nadan main nahin 'ahmad'
jo khataon ko bhi sawab likhun
jis mein sare adhure khwab likhun
kaise tedhe sawal puchhe hain
koi batlae kya jawab likhun
ye jo kante hain meri rahon mein
tum kaho to inhen gulab likhun
itna tujh ko to padh liya main ne
tai kiya main ne is pe bab likhun
kis qadar intishaar hai tujh mein
kyon na ab tujh ko iztirab likhun
kis ko kis ko kiya nahin hai yaad
kis ka kis ka bhala hisab likhun
'ilm se jis ka wasta hi nahin
kaise us ko bhala janab likhun
itna nadan main nahin 'ahmad'
jo khataon ko bhi sawab likhun
86503 viewsghazal • English