sochte kya hain chhalakta jam le kar
By sardar-panchhiNovember 17, 2020
sochte kya hain chhalakta jam le kar
pijie us bewafa ka nam le kar
aae the to hath khali the hamare
ja rahe hain sainkadon ilzam le kar
ek diya ghar mein jalaya tha use bhi
le gaya koi tumhaara nam le kar
dhup aa sakti thi wo aati nahin hai
kaun aaega yahan paigham le kar
kat lin darbar ne sab ki zabanen
bulbulen khamosh hain inam le kar
kaun si ganga nahaya hai ye suraj
jab bhi aaya hai to qatl-e-am le kar
ab nahin koi zarurat ham-safar ki
chal pada hun gardish-e-ayyam le kar
aashiyan hota to hota lautna bhi
kya kare 'panchhi' awadh ki sham le kar
pijie us bewafa ka nam le kar
aae the to hath khali the hamare
ja rahe hain sainkadon ilzam le kar
ek diya ghar mein jalaya tha use bhi
le gaya koi tumhaara nam le kar
dhup aa sakti thi wo aati nahin hai
kaun aaega yahan paigham le kar
kat lin darbar ne sab ki zabanen
bulbulen khamosh hain inam le kar
kaun si ganga nahaya hai ye suraj
jab bhi aaya hai to qatl-e-am le kar
ab nahin koi zarurat ham-safar ki
chal pada hun gardish-e-ayyam le kar
aashiyan hota to hota lautna bhi
kya kare 'panchhi' awadh ki sham le kar
64175 viewsghazal • English