soe muddaon ko bhaDkana Thik nahin

By jitendra-tiwariApril 21, 2021
soe muddaon ko bhadkana thik nahin
be-matlab mein baat badhana thik nahin
itni mushkil se jo baaten suljhin hain
wapas se un ko uljhana thik nahin


mud kar dekhe aur taghaful kar jae
us ladki ke pichhe jaana thik nahin
ab to aisi haalat hai ki apnon ko
apne dil ki baat batana thik nahin


duniya wale shair shair bolenge
kandhe par jhula latkana thik nahin
kucha-e-jaanana mein kafi pahre hain
kucha-e-jaanana mein jaana thik nahin


hum to jhut samajhte the lekin tum ne
sach bola tha yar zamana thik nahin
70668 viewsghazalEnglish