sohbat hai tere khayal ke sath hai hijr ki shab visal ke sath ai sarw-e-rawan tuk ek idhar dekh ji jate hain teri chaal ke sath hai tegh o kaman ki si nisbat abru ko tere hilal ke sath mat zulf ko shana kar mera ji wabasta hai baal baal ke sath dil apna hanuz sadgi se pechida hai zulf o khal ke sath mehman tha kis ka tu shab ai mah aata hai jo is malal ke sath rukhsaron ne kuchh araq kiya hai kuchh chashm hai infial ke sath main sher hun besha-e-sukhan ka sohbat hai sag o shaghaal ke sath iksir hai 'mushafi' ka milna yani ki wo hai kamal ke sath