soi hai kali dil ki usko bhi jaga jaana
By khalilur-rahman-azmiFebruary 27, 2024
soi hai kali dil ki us ko bhi jaga jaana
is rah se bhi ho kar ai baad-e-saba jaana
hum bhulte jate hain us chehra-e-zeba ko
ai khwab zara us ki surat to dikha jaana
jab mausam-e-gul aae ai nikhat-e-awara
aa kar dar-e-zindan ki zanjir hila jaana
phir hath chhudati hai mujh se meri tanhai
phir dil ke sanbhalne ke andaz bata jaana
kis naz se pala hai hum ne gham-e-hijran ko
us gham ko zara aa kar sine se laga jaana
auron ke liye yun to ek sang-e-garan hum hain
han tum jo kabhi chaho mitti mein mila jaana
aankhon se bhi ab dil ki rudad nahin kahte
ab hum se koi sikhe har bhed chhupa jaana
apne hi kharabe mein hum 'umr guzarenge
jab tum ko mile fursat ye ghar bhi basa jaana

30839 viewsghazal • English