soz-e-dil-o-jaan aur hai saz-e-dil-o-jaan aur ehsas-e-bayan aur hai idrak-e-nihan aur duniya-e-mohabbat mein zamin aur zaman aur ek shoala-ba-jaan naghma-kunan raaz-e-nihan aur shair ka jahan aur hai shatir ka jahan aur mafhum mohabbat ka yahan aur wahan aur ai chand ki mafluj fazaon ke musafir hai muntazir-e-did abhi bazm-e-jahan aur khud mahw-e-tamasha hain mah-o-mehr-o-kawakib hai aadam-e-khaki teri manzil ka nishan aur kuchh dur hujum-e-gham-e-jaanan se nikal ja ai ashk-e-rawan shoala-e-jaan barq-e-tapan aur ye nuzhat-o-nikhat ka tabassum wo tasadum ye abr-e-karam aur hai aahon ka dhuan aur tujh ko gham-e-jaanan gham-e-dauran se badal dun hai azm-e-jawan aur zaman aur saman aur sarmaya-e-hasti tha kabhi josh-e-taghazzul ehsas-e-junun aur tha andaz-e-bayan aur kya ye bhi zamane ka koi turfa asar hai hai teri 'aziz' aaj zaban aur bayan aur