soz-e-gham ko ba’is-e-taskin-e-jaan kaise kahen

By birj-lal-raanaFebruary 26, 2024
soz-e-gham ko ba’is-e-taskin-e-jaan kaise kahen
mauj-e-sarsar ko nasim-e-gul-fishan kaise kahen
jo sitam-pesha hai kya us ke karam ka e'tibar
nawak-e-khunin ko shakh-e-ashiyan kaise kahen


ye sharab-o-she’r-o-naghma ye jawani ye jamal
‘umr-e-fani ko mata’-e-raegan kaise kahen
jis ko ho kanton se nafrat phul hon jis ko 'aziz
us ko gulshan ka haqiqi baghban kaise kahen


jis ke tinke kar rahe hon bijliyon se saz-baz
us nasheman ko farogh-e-gulsitan kaise kahen
jo haqiqat hai use baatil samajh len kis tarah
karwan ko hum ghubar-e-karwan kaise kahen


har kali mein bekali har phul mein pazhmurdagi
is khizan ko hum bahaar-e-jawedan kaise kahen
aansuon par aah par nalon pe hain pabandiyan
be-zaban ab dard-e-dil ki dastan kaise kahen


zindagani ek musalsal kashmakash ka nam hai
zindagani ko sukun-e-qalb-o-jaan kaise kahen
ek do afrad ke milne se kab banti hai qaum
ek do qatron ko bahr-e-bekaran kaise kahen


zindagani ek haqiqat hai nahin ye wahm-o-khwab
aag hai ye aag hai is ko dhuan kaise kahen
daur-e-azadi mein 'ra'na' soz-e-mahkumi kahan
subh-e-sadiq ko andhere ka saman kaise kahen


75183 viewsghazalEnglish