sozish-e-shola-e-furqat se fana ho jaana maraz-e-gham ke liye hai ye dawa ho jaana sahl hai nawak-e-mizhgan ka qaza ho jaana ghamza-e-chashm ka aasan hai jafa ho jaana aarzu tujh se ye kahta hun shab-e-furqat mein khud dua hona kabhi dast-e-dua ho jaana surat-e-khak-e-gulistan mein na rahna ai dil misl-e-bu daman-e-gulshan se juda ho jaana dagh ban kar to raha daman-e-qatil pe magar bu-e-khun bahr-e-khuda bu-e-wafa ho jaana be-qarari se to rahat ho koi dam hasil jism se jaan-e-hazin jald juda ho jaana shab-e-gham dil se 'jamila' ne yahi ro ke kaha mil ke mitti mein to naqsh-e-kaf-e-pa ho jaana