subh aai bhi to kuhron mein izafa ho gaya
By irfan-aazmiFebruary 6, 2024
subh aai bhi to kuhron mein izafa ho gaya
nind kya tuti ki khwabon mein izafa ho gaya
be-zamiri ke izafon mein izafa ho gaya
ya'ni chalti-phirti lashon mein izafa ho gaya
ho chuka hai jaise dar-parda qayamat ka nuzul
zindagani ke 'azabon mein izafa ho gaya
ghar se ghabra kar zamana aa gaya maidan mein
hum ne ye samjha ki melon mein izafa ho gaya
kal yahan amrud ka ek bagh tha wo kya hua
ab yahan kyunkar babulon mein izafa ho gaya
dard se fursat mili to aaine chubhne lage
zakhm bhar jaane se daghon mein izafa ho gaya
khet ki mitti wahi hai abr-e-baran bhi wahi
ki gai mehnat to faslon mein izafa ho gaya
nachne gane lage mazdur har dukh bhul kar
ujraton ke chand sikkon mein izafa ho gaya
kyon na ho barish mein apni khush-libasi dagh-dar
gadiyon ke sath chhinton mein izafa ho gaya
ped suna ho gaya kuchh der ki khatir to kya
kat gain shakhen to shakhon mein izafa ho gaya
kya karun 'irfan' ka'be ka main ab ulta tawaf
wajd ki haalat mein pheron mein izafa ho gaya

47231 viewsghazal • English