subh aankh khulti hai ek din nikalta hai phir ye ek din barson sath sath chalta hai kuchh na kuchh to hota hai ek tere na hone se warna aisi baaton par kaun hath malta hai qafile to sahra mein thak ke so bhi jate hain chand baadalon ke sath sari raat chalta hai dil charagh-e-mahfil hai lekin us ke aane tak bar bar bujhta hai bar bar jalta hai kulfaten judai ki umr bhar nahin jatin ji bahal to jata hai par kahan bahalta hai dil tapan nahin rahta main ghazal nahin kahta ye sharar apni hi aag se uchhalta hai main bisat-e-danish ka dur se tamashai dekhta raha shatir kaise chaal chalta hai