subh aata hun yahan aur sham ho jaane ke baad
By jamal-ehsaniFebruary 26, 2024
subh aata hun yahan aur sham ho jaane ke ba'd
laut jata hun main ghar nakaam ho jaane ke ba'd
dhanp dete hain hawas ko 'ishq ki poshak mein
log sare shahr mein badnam ho jaane ke ba'd
ek hujum-e-yaad hoga in gali-kuchon ke bich
dekho shahr-e-dil ki raunaq sham ho jaane ke ba'd
yaad karne ke siwa ab kar bhi kya sakte hain hum
bhul jaane mein tujhe nakaam ho jaane ke ba'd
khud jise mehnat mashaqqat se banata hun 'jamal'
chhod deta hun wo rasta 'am ho jaane ke ba'd

67003 viewsghazal • English