subh-dam roti jo teri bazm se jati hai shama saf mere soz-e-gham ka rang dikhlati hai shama jis tarah kale ke man ke ru-ba-ru gul ho charagh dekh kar tawiz-e-zulf-e-yar bujh jati hai shama sirf parwana adab se dam-ba-khud rahta nahin tere roab-e-husn se mahfil mein tharraati hai shama gher lete hain tujhe parwane us ko chhod kar jis mein tu ho kab farogh us bazm mein pati hai shama karband-e-adl hote hain jo hain raushan-dimagh bazm mein har samt yaksan nur pahunchati hai shama parda-e-fanus se bahar nahin rakhti qadam ru-ba-ru tere rukh-e-raushan ke sharmati hai shama ja-e-girya sohbat-e-ahle--tamasha hai 'asar' hai baja roti hui jo bazm mein aati hai shama