subh-e-nau aa gai tirgi mit gai shor hai har taraf inqalab aa gaya mujh ko dar hai andhera koi raat ka munh pe dale sahar ki naqab aa gaya husn ki ye ada bhi hai kitni hasin ek tabassum mein sab kuchh hai kuchh bhi nahin apni apni samajh apna apna yaqin har sawal nazar ka jawab aa gaya bazm-e-hasti mein hangama barpa kiye koi gita liye koi quran liye main bhi saqi ke hathon se pai thi jo le ke apni sunahri kitab aa gaya fitrat-e-husn ko kaun samjhe bhala gah ata hi ata gah jafa hi jafa gah taqsir ki aur hansi aa gai gah sajde kiye aur itab aa gaya zist ki talkhiyan al-aman phir bhi wo chhin paen na mere labon se hansi ishq tu ne diya wo gham-e-shadman ho ke nakaam main kaamyab aa gaya gardish-e-roz-o-shab ne na jaane kahan ki nikali hai 'mulla' se ye dushmani us ne saghar uthaya sahar ho gai us ne saghar rakha mahtab aa gaya