subh-e-qayamat jaan se guzarne lagti hai
By imtiyaz-sagharOctober 31, 2020
subh-e-qayamat jaan se guzarne lagti hai
tez chalun to sans bikharne lagti hai
shahr-e-jaan mein ishq ki shamen bujhte hi
qatra qatra raat utarne lagti hai
kabhi kabhi ye zakhm khilati purwai
rang meri taswir mein bharne lagti hai
raat ki aankhen bujhte bujhte mahfil mein
parwanon ki khak bikharne lagti hai
izn-e-huzuri us dar se mil jae agar
patthar pe taswir ubharne lagti hai
itni khush-nazari bhi 'saghar' thik nahin
aankh kabhi tabir se darne lagti hai

58084 viewsghazal • English