subh hai raat kahan ab wo kahan raat ki baat

subh hai raat kahan ab wo kahan raat ki baat
baat hi baat to hai baith bhi lo baat ki baat

arsh par rahte hain kya kabe ke rahne wale
koi sunta hi nahin ahl-e-kharabaat ki baat

ye koi baat hai khum sath liye waiz aae
aur phir main na sunun qibla-e-hajat ki baat

phut kar rote hue dekh liya hai mujh ko
chhedne ko mere har-waqt hai barsat ki baat

wahi ubhri hai shikan ban ke jabin par teri
gad gai dil mein tere kya kisi bad-zat ki baat

na khula ye ki kahan shab ko bichai thi bisat
ghair ki chaal ka kuchh zikr tha kuchh baat ki baat

jab kaha main ne kaho ghair ke ghar ka kuchh haal
bole jhunjhla ke nikali wahi be-baat ki baat

kahin aisa na ho aa jae taras aap ko kuchh
aap suniye na kisi morid-e-afat ki baat

zarf-e-be-mai se pilai to haram mein phaili
phailti jald hai kuchh ahl-e-karamat ki baat

raat kabe mein gai qulqul-e-mina ban kar
na to chhupti hai na dabti hai kharabaat ki baat

koste hain wo buri tarah jo kahta hun 'riyaz'
raat-bhar aaj bhi hoti rahi kal raat ki baat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close