subh se chaak bhi ho daman-e-shab zid hai use

subh se chaak bhi ho daman-e-shab zid hai use
ain matam mein saje bazm-e-tarab zid hai use

khud har ek baat se waqif hai magar auron ko
kuchh nahin jaanne deta ye ajab zid hai use

us ko sab ek hai yun dard-o-sukun wasl-o-firaq
han magar meri tamanna ke sabab zid hai use

baat apnon ki pakad le to kahan chhodta hai
darguzar ghair se farmae to kab zid hai use

sar agar kham hai to mahfuz kham-e-tegh se hai
aur agar zer-e-sipar hai to ghazab zid hai use

sun ke qasid ne kaha meri dalilen 'khurshid'
khair pahle jo nahin bhi thi to ab zid hai use


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close