subh se thoda idhar aur gai raat ke baad laut aaya hun darakhton se mulaqat ke baad ishq mein rang nahin nasl nahin shajra nahin us ka aaghaz hai in sab ke mazafat ke baad abr barse to khil uthti hai zamin ki khushbu khushiyan milti hain hamesha kai sadmat ke baad lutf hai mangne mein is liye hum mangte hain hum ko matlab nahin kya hoga munajat ke baad baat hairat ki to ye hai ke badal jati hai meri auqat tere hijr ke auqat ke baad