subut apni mohabbat ka use dena zaruri tha udana khak karna chaak daman ka shuuri tha sharar-e-sang se hasb-e-zarurat aag raushan ki ye khaki apni fitrat mein na nari thana nuri tha kanar-e-rah jo ashjar the sae ki khatir the batana kaam sang-e-mil ka manzil se duri tha sitam dhana mukarna aur mujhe khamosh kar dena mohabbat mein rawayya us ka chori sina-zori tha khuda-hafiz ki aane ko hai apni manzil-e-maqsud qayam apna jahan mein mustaqil kab tha uburi tha