sukh jati hai meri chashm-e-rawan barish mein aasman hota rahe ashk-e-fishan barish mein sare sahrai rihai ke tamannai na the aa gaya le ke hamein qais kahan barish mein ghonsle tut gae ped gire bandh gire ganw pe phir bhi jawan nashsha-e-jaan barish mein teri sarsabz bahaaron pe damakte qatre lauh-e-mahfuz ke kuchh ramz-e-nihan barish mein lab-e-ehsas kabhi tu kisi qabil ho ja chum le manzil-e-mubham ke nishan barish mein hanpti kanpti mazbut iradon wali bench pe baithi hui mahw-e-guman barish mein pahli tap tap hi mere hosh uda deti hai nind udti hai atak jati hai jaan barish mein aaj bhi darta hun bijli ke kadake se bahut us ko qabu mein kiya karti thi man barish mein mere kamre ka makin habs gala ghontta hai koi to ramz-e-aziyyat hai nihan barish mein