sukhan-e-haq ko fazilat nahin milne wali sabr par dad-e-shujaat nahin milne wali waqt-e-malum ki dahshat se larazta hua dil duba jata hai ki mohlat nahin milne wali zindagi nazr guzari to mili chadar-e-khak is se kam par to ye neamat nahin milne wali ras aane lagi duniya to kaha dil ne ki ja ab tujhe dard ki daulat nahin milne wali hawas-e-luqma-e-tar kha gai lahje ka jalal ab kisi harf ko hurmat nahin milne wali ghar se nikle hue beton ka muqaddar malum man ke qadmon mein bhi jannat nahin milne wali zindagi bhar ki kamai yahi misre do-chaar is kamai pe to izzat nahin milne wali