suKHan ek na-shunida mein nida hone se pahle tha

sukhan ek na-shunida mein nida hone se pahle tha
ki jaise harf-e-haq pinhan sada hone se pahle tha

udhar firauniyat kafi hai teri ru-siyahi ko
idhar tu banda-e-sarkash khuda hone se pahle tha

dar-e-tauba khula hai ab ghalat hai sochna tera
bahut masum tu shayad saza hone se pahle tha

meri sirat ki khushbu ab hawaon mein mahakti hai
magar main itr-e-tanhai saba hone se pahle tha

ilaha aur illa ka aqida ain iman hai
meri rag rag mein ye maujud la hone se pahle tha

anasir muttahid the jauhari zarraat yakja the
sabhi ko intizar-e-kun khala hone se pahle tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close