suKHanwar gham kushada kar rahe hain
By mukesh-sharma-manmaujiJanuary 4, 2024
sukhanwar gham kushada kar rahe hain
purane zakhm taza kar rahe hain
koi samjhae ahl-e-‘aql un ko
ghamon ko kyon labaada kar rahe hain
mohabbat ho gai aasan shayad
nae ladke ziyaada kar rahe hain
unhen kis munh se main kah dun sitamgar
wo ye sab hasb-e-wa’da kar rahe hain
purane zakhm taza kar rahe hain
koi samjhae ahl-e-‘aql un ko
ghamon ko kyon labaada kar rahe hain
mohabbat ho gai aasan shayad
nae ladke ziyaada kar rahe hain
unhen kis munh se main kah dun sitamgar
wo ye sab hasb-e-wa’da kar rahe hain
35794 viewsghazal • English