suKHanwari ka ye be-sud karobar hai kya

By syed-ahmad-saharMay 24, 2021
sukhanwari ka ye be-sud karobar hai kya
junun-e-shisha-gari ka maal-e-kar hai kya
wo har chaman ko mitane ko be-qarar hai kya
use gulon ka tabassum bhi nagawar hai kya


na jaane kaun si basti pe mehrban ho jae
daraaz-dasti-e-dauran ka eatibar hai kya
zamana ho gaya jis karwan ko chhode hue
ab us ka zikr masafat mein bar bar hai kya


hawaen aap badal dengi rasta apna
isi umid pe jine ka inhisar hai kya
ye rah khair ki wo shar ki ek ko chun lo
miyan khade ho dorahe pe kyon shumar hai kya


nafas nafas hai fuzun bazgasht-ex-bang-e-jaras
chal ai asir-e-hawas chal de intizar hai kya
sitam ka shahr bhi duba hai aansuon mein kabhi
rawan in aankhon se paiham ye aabshaar hai kya


'sahar' ye raste kyon ajnabi se lagte hain
jahan ye umr kati ye wahi dayar hai kya
83698 viewsghazalEnglish