sukun-e-dil ki talab mein jo be-qarar nahin
By badr-shamsiOctober 8, 2023
sukun-e-dil ki talab mein jo be-qarar nahin
wo apne dard-e-mohabbat se sharmsar nahin
khushi se kaun uthata hai gham zamane mein
ye jabr wo hai ki jis par kuchh ikhtiyar nahin
sab apni zat ki jaanib hain aaj garm-e-safar
koi kisi ke liye mahw-e-intizar nahin
kuchh is tarah teri chashm-e-karam ne luta hai
mujhe khud apni tabahi ka e'tibar nahin
nazar-fareb bahaaron se khelne wale
teri nazar mein abhi hasil-e-bahaar nahin
har ek gham ka mudawa hai khud-faramoshi
wo hoshiyar bahut hai jo hoshiyar nahin
jalao 'badr' shab-e-gham charagh ashkon ke
ki in chamakte sitaron ka e'tibar nahin

37398 viewsghazal • English