sukun-e-zist bhi khona koi mazaq nahin

By nazar-dwivediFebruary 27, 2024
sukun-e-zist bhi khona koi mazaq nahin
ghazal mein dard pirona koi mazaq nahin
ye dil nikal ke rakhna tu pahle kaghaz par
phir aansuon se bhigona koi mazaq nahin


kisi ki nind udana to phir bhi aasan hai
magar sukun se sona koi mazaq nahin
safar hayat ka chalna hai jaise sho'lon par
ghamon ke bojh ko dhona koi mazaq nahin


lahu tamam hi ashkon mein dhalta jata hai
kisi ki yaad mein rona koi mazaq nahin
khushi nasib mein sab ke likhi nahin hoti
hasin khwab sanjona koi mazaq nahin


liya mazaq mein jis ne gaya wo duniya se
kaha tha main ne corona koi mazaq nahin
ye sha'iri hai tamasha nahin koi sahib
lahu se aankh ka dhona koi mazaq nahin


naqab odh le koi 'nazar' sharafat ka
magar sharif bhi hona koi mazaq nahin
55658 viewsghazalEnglish