sukun paya tabiat ne na dil ko hi qarar aaya jo aansu aankh mein aaya bada be-e'tibar aaya kisi ka bankpan sare zamane mein pukar aaya chamak aankhon mein aai nok-e-mizhgan par nikhaar aaya muqaddar apna apna hai gul-o-shabnam ki wadi mein koi hansta hua aaya to koi ashk-bar aaya mujhe kya wasta hai aap ke husn-e-takhyyul se meri aankhon pe jab aaya mere khwabon ko pyar aaya teri be-iltifati ko khuda rakhe ki ai saqi sharab-e-gham se hum tishna-labon par bhi khumar aaya hue hain rang-o-bu dast-o-gareban aise gulshan mein nasim-e-subh ka daman bhi ho kar tar tar aaya dhuan jo be-kason ki aah ka uttha to ai 'jumbish' chaman wale pukar utthe ki wo abr-e-bahaar aaya