sukun talash na kar aarzu ke diwane jo zindagi ne diya hai wo zindagi jaane is ehtimam se aksar uthe hain paimane ki bund bund ko main jaanon ya khuda jaane dukhe hue dil-e-adam mein hai umid ki dhum hain ek baat se paida hazar afsane charagh-e-rah se gharaz hai na naqsh-e-pa ki talash ye rah-rawi koi na-karda-rah kya jaane kidhar ko rukh kare yarab mera mazaq-e-sujud ki aaj qibla-e-dil kaba hai na but-khane main intiha-e-masarrat ko zindagi kar dun agar nizam-e-tamanna mera kaha mane sanbhal ai hosh zara kal ki fikr kar saqi chhalak na jaen kahin bhar chuke hain paimane