sukut-e-asr mein gunji hui azan hun main
By tasneem-abidiMarch 2, 2021
sukut-e-asr mein gunji hui azan hun main
bahut se girti nashinon ke darmiyan hun main
adab ki karb-o-bala kufa-e-sada hai gawah
hawa-e-sham ka likha hua bayan hun main
wo khema-gah-e-mohabbat to jal gai kab ki
aur us ki rakh mein muddat se nim-jaan hun main
furaat-e-tishnagi-e-shauq ru-ba-ru tere
jise jalaya gaya tha wahi makan hun main
wo tuta neza wo be-chadari wo sham-e-alam
kabhi jo khatm na hogi wo dastan hun main
gulu-e-tishna-labi dekh kis saliqe se
kashida tir sambhaale hue kaman hun main
shariat-e-dil-o-duniya uthae phirti rahi
wo kah raha hai magar phir bhi na-tawan hun main
ye baam-o-dar ko sajaya gaya hai mere liye
nazargi teri khatir lahuluhan hun main

50742 viewsghazal • English