sukut-e-‘ishq mein Duba hua wo ek laDka
By wasim-nadirJanuary 5, 2024
sukut-e-‘ishq mein duba hua wo ek ladka
charagh-e-hijr jalata hua wo ek ladka
pata karo use sahra mein kaun le aaya
har ek baat pe hansta hua wo ek ladka
zaruraton ke taqazon mein tutta banta
bahut qarib se dekha hua wo ek ladka
na jaane kaun si duniya mein kho gaya aakhir
teri gali se guzarta hua wo ek ladka
mohabbaton ke hasin khwab le ke aankhon mein
‘bashir-badr' ko padhta hua wo ek ladka
qalam labon mein dabae hue wo ek ladki
usi ka 'aks banata hua wo ek ladka
talash kijiye 'nadir' purane album mein
kisi ki chah mein bhatka hua wo ek ladka
charagh-e-hijr jalata hua wo ek ladka
pata karo use sahra mein kaun le aaya
har ek baat pe hansta hua wo ek ladka
zaruraton ke taqazon mein tutta banta
bahut qarib se dekha hua wo ek ladka
na jaane kaun si duniya mein kho gaya aakhir
teri gali se guzarta hua wo ek ladka
mohabbaton ke hasin khwab le ke aankhon mein
‘bashir-badr' ko padhta hua wo ek ladka
qalam labon mein dabae hue wo ek ladki
usi ka 'aks banata hua wo ek ladka
talash kijiye 'nadir' purane album mein
kisi ki chah mein bhatka hua wo ek ladka
44701 viewsghazal • English