sulagti ret pe aankhen bhi zer-e-pa rakhna nahin hai sahl hawa se muqabla rakhna use ye zom ki aaghosh-e-gul bhi us ki hai jo chahta hai parindon ko be-nawa rakhna subuk na ho ye nigah-dari-e-junun hum se ye dekhne ko use samne bitha rakhna bikhar na jaana jarahat-nawazi-e-shab par masham-e-jaan ko abhi khwab aashna rakhna wo fursaten ki jinhen aahaton ki khwahish ho unhen jaras ki tamanna se ma-siwa rakhna tamam manzar-e-jaan us ki khwahishon se bana wo khwab hai to use khwab mein saja rakhna udasiyon ko to aangan hi chahiye khali chhaton pe chandni raaton ka silsila rakhna wo jab bhi aaya bahut tez barishon jaisa wo jis ne chaha mujhe surmai ghata rakhna bas ek charagh masafat ka bojh sah lega sukhan ke bich talabgari-e-wafa rakhna