suluk-e-narawa ka is liye shikwa nahin karta ki main bhi to kisi ki baat ki parwa nahin karta tera israr sar aankhon pe tujh ko bhul jaane ki main koshish kar ke dekhunga magar wa'da nahin karta bahut hushyar hun apni ladai aap ladta hun main dil ki baat ko diwar par likkha nahin karta agar pad jae 'adat aap apne sath rahne ki ye sath aisa hai ki insan ko tanha nahin karta zamin pairon se kitni bar ek din mein nikalti hai main aise hadson par dil magar chhota nahin karta