sun raha hun qurbaton mein fasla hone ko hai
By umair-ali-anjumJanuary 5, 2024
sun raha hun qurbaton mein fasla hone ko hai
is qadar to ho gaya ab aur kya hone ko hai
jaane kyon aankhon mein aansu aa rahe hain der se
aaj phir shayad koi mujh se juda hone ko hai
shahr kyon sunsan hai viran kyon hain raste
ho chuka hai hadisa ya hadisa hone ko hai
har taraf na're lagae ja rahe hain inqilab
aisa lagta hai ki phir mahshar bapa hone ko hai
har taraf lashen hain 'anjum' har gali hai sogwar
aur kya is sarzamin par karbala hone ko hai

98751 viewsghazal • English