sunahri dhup ke parwardigar dhund ke par
By abid-razaFebruary 17, 2025
sunahri dhup ke parwardigar dhund ke par
koi sahifa yahan bhi utar dhund ke par
ragon mein aaj bhi jaise bhatak raha hai koi
lahu ke ghode pe zakhmi sawar dhund ke par
hamari aankh mein ab tak dhuan hai khwabon ka
ki jal bujhe hain sitare hazar dhund ke par
yahin kahin tha wo jadu-nagar pari-paikar
udan-khatola yahin par utar dhund ke par
ruka hai waqt yahan jaise kohr dariya par
bas ek jast lagani hai yar dhund ke par
main kya bataun wahan shor hai ki khamoshi
sama'aton ka bhi kya e'tibar dhund ke par
qadam qadam pe ye kahti hai dhup ki shiddat
utar phenk badan ka ye bar dhund ke par

57212 viewsghazal • English