sunoge tum bhi meri dastan kabhi na kabhi asar dikhaega dard-e-nihan kabhi na kabhi kabhi to aatish-e-namrud sard bhi hogi qarar paega qalb-e-tapan kabhi na kabhi ye aaj gardish-e-sham-o-sahar batati hai nazar bachaega khud aasman kabhi na kabhi kabhi to gauhar-e-nayab hath aaega milega ruh-e-khudi ka nishan kabhi na kabhi jamud-e-sehr-e-tamanna mein rah nahin sakta farogh paega azm-e-jawan kabhi na kabhi azan bilal ki gunji hai regzaron mein sunega dil ki sada ye jahan kabhi na kabhi 'aziz' teri mohabbat bhi rang laegi tamam hoga gham-e-bekaran kabhi na kabhi