sunta hai mere ham-nashin kahti hai ye bahaar kya phulon se dosti na kar phulon ka e'tibar kya bazi-e-dil ki mat par badh gae aur hausle husn ki jit jit kya ishq ki haar haar kya husn pe naz kijiye aap magar na bhuliye husn to chadhti dhup hai dhup ka e'tibar kya de ke chaman ko apna khun mangta kab hun khun-baha main hun bahaar ke liye mere liye bahaar kya lazzat-e-intizar mein kho gae hum to ai 'nadim' apna bhi intizar hai un ka hi intizar kya dil mein hai anwar aaj bhi aatish-e-gham se raushni milti hai is maqam par sarhad-e-nur-o-nar kya