surahi ka bharam khulta na meri tishnagi hoti

By qabil-ajmeriNovember 12, 2020
surahi ka bharam khulta na meri tishnagi hoti
zara tum ne nigah-e-naz ko taklif di hoti
maqam-e-ashiqi duniya ne samjha hi nahin warna
jahan tak tera gham hota wahin tak zindagi hoti


tumhaari aarzu kyun dil ke virane mein aa pahunchi
bahaaron mein pali hoti sitaron mein rahi hoti
zamane ki shikayat kya zamana kis ki sunta hai
magar tum ne to aawaz-e-junun pahchan li hoti


ye sab ranginiyan khun-e-tamanna se ibarat hain
shikast-e-dil na hoti to shikast-e-zindagi hoti
raza-e-dost 'qabil' mera meayar-e-mohabbat hai
unhen bhi bhul sakta tha agar un ki khushi hoti


87447 viewsghazalEnglish